|
[Year] |
COURSE ITB CLASS TAIMING 01PM TO 02 PM SIR NASEEM ROLL NO 9912 |
|
PAKISTAN MAIN POLITICS.
Aj main jis subject k bary main baat krny jar ha ho us k bary main koi koi likhta hai ku k Pakistan k andr politics ko badnam kr dia gya hai . or ya humary ly sharm ke baat hai ku k humary pyary ranhma
Quied –e- azam Muhammad ALI jinha ka maksd ya tha k pakistan main ek nazam qaim kia jay jis main hr ek ko azadi ho.lakin badqismity sa hum us main kamyab nahi howy.
Pakistan main politics ke history
Pakistan main politics 14 august 1947 sa he wajood main ai.or phr Pakistan ka 1st law b wajood main aya jo 1956 main nafiz howa . ya Pakistan ka pehla law tha or phr is main is baat ke wazaht ke ge kha :
1:- Pakistan ka nam islami jumoria Pakistan ho ga .
2:- Is main Allah ke hakmeyat k bary main wazia kr dia gia
3:-or urdu or bangali ko national zaban mukarr kia gya .etc
1956 ka law 2 year or 7 month tk rha or phr us k bad 1958 main is ko khatm kr dya gya.or is law ko jarnal Muhammad ayoub khan na khatm kia or khud hokomat sambhal le or khud Pakistan k sadr bn gy.
Sadr Muhammad ayoub khan na mulk main new law nafiz kia jo 1962 main nafiz howa.
Is thra ayoub khan na 10 sal hokomat sambhal le. Phr ayoub khan k mutalik propaganda na ayoub khan ke hokomat ko khatm kr dia or phr jarnal yahyha khan na hokomat sambhal le.or is na hokimat 1969 main sambhali thi.1962 k law main ek important baat ya thi k is main sadarti tarz hokomat rij ke ge.
Jarnal yahyha khan k dor main Pakistan main pehli bar 1970 ko elation hoy.or in main mashraki Pakistan sa Shake Majeeb ur rhaman or magribi Pakistan sa Zolafqar Ali Bhutto na kamiyabi hasil ke. Or phr Aqtadar hasil krny ke havs na inhy aps main lrwa dia. Or phr jarnal yahyha khan k sadr bany rhany ke zid ko mashraki Pakistan k logo main mahromi ke hawa pada kr de .or is thara 1971 main mashariki Pakistan alg ho gya or dunya main ek alg mulk bn kr abrha.
Phr pakistran main ek nya law aya jo abi tk chal rha hai . jisy 1973 ka law khaty han or is zulafqar ali Bhutto na mutarif krwaya .
Us k bad 1977 main mulk main dosry amm elation hoy.jis main ek bar phr PPP ko kamyabi hasil hoi.
Opposition k dandli k alzam na threek chali or mulk k halat kharab ho gy.in halat ko dakh kr Pakistan army k Jarnal zia ul haq na 5 july 1977 ko marshala laga dya gya.us k bad 23 march 1985 ko Muhammad khan janujo ko priminstor bana dya gya .
Is k bad 17 august 1988 ko sadr Pakistan jarnal zia ul haq ek fazi hadsy main halaq ho gy.
1988 ko elation hoy or ppp sb sa bari palty ban kr samny ai or Benazir Bhutto prime minster bn ge.
August 1990 main dobara elation hoy or M nawaz shreef mulk k prime minster bny .16 October 1993 ko mulk main dobara elation hoy or Benazir Bhutto prime minster bny.or sadar Pakistan Farooq Ahmad lagari bny. February 1997 k elation main Pakistan muslim leeg(N) na numya qamayabi hasil ke or nawaz shreef Pakistan k prime minster bn gy.
12 October 1999 ko Pakistan Army k Jarnal Pervez musharraf na hukomt ko khtam kr dya or khud sadr bn gy.(April 2002 main ek rafrandm howa or pervez musharraf sadr bn gy .)
Sadr pakistan na mulk main nay elation krway or 10 October 2002 main Mir zafarullah jamali mulk k prime minster bany.mir sab na June 2004 main astifa dya or august 2004 ko Shaukat aziz Pakistan k wazeer azam bany.
15 November 2007 ko Pakistan main phalli bar kasi hokumat na apna 5 sala dor pora kia .
Or R. jarnal na civilian ke hasiat sa sadar ka half utaya.
18 February 2008 main ppp or musalim leeg (N) na nomaya kamyabi hasil ke or Syed yousf raza gilani pakistan k wazeer azam munthakib hoy
18 august 2008 ko sadar Pakistan pervez musharraf na astifa dy dia .
Or September 2008 ko janab Asif Ali Zardari pakistan k sadr bn gy .
(jo abi tk qaim hai )
pakistan main politics ke halat
Pakistan main politics k halat shuro sa he bohat kharab han .or jasy jasy waqt guzr ta gya wasy wasy halat or kharab hoty gy .or aj kl k halat to bohat he kharab han. ku?
Is ke sb sa bari waja ya hai k humary hukmaran na ahal or hukmarani k qabil nahi hai .
Lakin humy ya baat yad rakhni chay k tamam k tamam barabr nahi hoty koi koi achy b hoty han jo apni suchai ka sabot daty hai lakin hum log un ko b us he qesm ka samj laty han . lakin koi baat nahi humari qom bohat he honsly wali hai us k upper jitney marzi zulam kro wo kasi sa naraz nahi hoti .bl kha us main b khushi sa rhati hai or enjoy krti hai .
Lakin ay mery qom k logo aj main nay is ly ya topic chose kia hai .k hum youth pakistan k ly kuch kr saky ya nahi k jis k matric main achy marks ay wo engineer ya doctor bn jay or jis k us sa km marks ay to wo banking main chala jata hai or us main sa sirf 2% log hoty han jo politics main jaty han .main apni qom sa sawal krta ho k kya kasi mulk k 2% log us mulk ko sambhal sakty han kya?
Nahi bilkul nahi asa kabi nahi ho sakta k kasi b mulk k sirf 2 % log mulk ko sambhal saky .is k ly humy sab sa phaly apni filde pachanni ho ge or phr hum ko us main kam krna chay or asi thra he mulk tariqi ke rha main gamzn ho sakta hai .or phr apni filde main qabliat rakhny waly ko us fild k mutabik wazarat sa nawaza jay. Asa krny sa na sirf Pakistan tariqi kry ga bal k dunya main ek asi qom bn kr abhory ga k tamam dunya ko pata chal jay ga k Pakistan ka kya mukam hai or wo kya kr sakta hai .
Humary politics k ya halat han k agr koi beta apny bap sa khata hai k papa main na politics main jana hai to bap khata hai k pagl ho gy ho kya asy kam main jao jis main koi azet hai humy badnam krna hai kya….
Ay mery Pakistan k logo main kuch LEADERS k bary main batany jar ha ho jo real main janty thy ya hai k pakistan ka asl muqam kya hona chay or usy wha pr kasy ponchaya jay.
Sb sa phaly” Quaid _e_azam Muhammad ali jinha ,Fatima jinha, Liaquat Ali khan, Zulfiqar Ali Bhutto, Benazir bhutto” (ya wo tamam hai jo apny khaliq_E_haqiqi sa ja mily han.)
“Imran Khan,Shahbaz shreef” they people know k Pakistan ka mukam kya hai or Pakistan ko kha hona chay. Pakistan k youth main ap say a khana chata ho k ab humara time hai k change lay or ya hum he kr sakty han lakin .agr aj na kia to kabi na kia .pakistan ke salamti humary he hat main han or hum he Pakistan ko us k asl mukam tk poncho sakty han .
PAKISTAN MAIN POLITICS EK GALI
Pakistan main politics ek gali hai ku??????
Asa ku hai?
Asa is lay hai k hum logo na is ke terf koi dehan nahi dya. Or is waja sa Pakistan k AWAN main har daka LOTY he muntakib hoty han .Or awam apni usi he halat main rahti han .
“Koi qom jab tak apni halat badlna nahi chati tab tk us ke halat nahi badlti ja sakti” ya baat main nahi kha rha ya baat Quran main hai .
Main aj ya baat khana chata ho k ay meri qom “KESI INSAN KO KESI B PAKISTANI KO KOI HAQ NAHI K WO POLITICS KO GALI DY”
Akhir main main ya khana chata ho k agr koi bacha bemar ho jay to maa or bap usy chore nahi daty balkha us ka allaj krwaty han or usy theek krty han .humy b apni politics k sath ya he krna hai .
Chalti hoi cheez ko challana koi bhari baat nahi lakin beykar cheez ko challana bohat bari baat hai……