Wednesday 25 May 2011

pakistan main politics


[Type the company name]
[Year]
    
COURSE   ITB  
CLASS TAIMING  01PM TO 02 PM
SIR NASEEM
ROLL NO    9912

    
    




PAKISTAN MAIN POLITICS.
Aj  main jis subject k bary main baat krny jar ha ho us k bary main koi koi likhta hai  ku k Pakistan k andr politics ko badnam kr dia gya hai . or ya humary ly sharm ke baat hai ku k humary pyary ranhma
Quied –e- azam  Muhammad ALI jinha ka maksd ya tha k pakistan  main ek nazam qaim kia jay jis main hr ek ko azadi ho.lakin badqismity sa hum us main kamyab nahi howy.
                                                            Pakistan main politics ke  history
                                                                     
Pakistan main  politics 14 august 1947 sa he wajood main ai.or phr Pakistan ka 1st  law  b wajood main aya jo 1956 main nafiz howa  . ya Pakistan ka pehla law tha or phr is main is baat ke wazaht ke ge  kha :
1:- Pakistan ka nam islami jumoria Pakistan ho ga .
2:- Is main Allah ke hakmeyat k bary main wazia   kr dia gia 
3:-or urdu or bangali ko national zaban  mukarr kia gya .etc

1956 ka law 2 year or 7 month tk rha or phr us k bad 1958 main is ko khatm kr dya gya.or is  law ko jarnal Muhammad  ayoub khan na khatm kia or khud hokomat sambhal le or khud  Pakistan k sadr bn gy.
Sadr Muhammad ayoub khan na mulk main  new law nafiz kia jo 1962 main nafiz howa.
Is thra  ayoub khan na 10 sal hokomat sambhal le. Phr  ayoub khan k mutalik propaganda na ayoub khan ke hokomat ko khatm kr dia or phr  jarnal yahyha khan na hokomat sambhal le.or is na hokimat 1969 main sambhali thi.1962 k law main ek important baat ya thi k is main sadarti tarz hokomat rij ke ge.
Jarnal yahyha khan k dor main Pakistan main pehli bar 1970 ko elation hoy.or in main mashraki Pakistan sa Shake Majeeb ur rhaman or magribi Pakistan sa Zolafqar Ali Bhutto na kamiyabi hasil ke. Or phr Aqtadar hasil krny ke havs na inhy aps main lrwa dia. Or phr jarnal yahyha khan k sadr bany rhany ke zid ko mashraki Pakistan k logo main mahromi ke hawa pada kr de .or is thara 1971 main mashariki Pakistan  alg ho gya or dunya main ek alg mulk bn kr abrha.

Phr  pakistran main ek nya law aya jo abi tk chal rha hai . jisy 1973 ka law khaty han  or is zulafqar ali  Bhutto na  mutarif krwaya .
                    
Us k bad 1977 main mulk main dosry amm elation hoy.jis main ek bar phr  PPP ko kamyabi hasil hoi. 
Opposition k dandli k alzam na threek chali or mulk k halat kharab ho gy.in halat ko dakh kr Pakistan army k Jarnal zia ul haq na 5 july  1977 ko marshala laga dya gya.us k bad 23 march 1985 ko Muhammad khan  janujo ko  priminstor bana dya gya .
Is k bad 17 august 1988 ko  sadr Pakistan jarnal zia ul haq ek fazi hadsy main halaq ho gy.
1988 ko elation hoy or ppp sb sa bari palty ban kr  samny  ai or Benazir Bhutto prime minster bn ge.
August 1990 main dobara elation hoy or M nawaz shreef mulk k prime minster bny .16 October 1993 ko mulk main dobara  elation hoy or Benazir Bhutto  prime minster bny.or sadar Pakistan Farooq Ahmad lagari bny. February 1997 k elation main Pakistan muslim leeg(N) na  numya qamayabi hasil ke or nawaz shreef  Pakistan k prime minster bn gy.
12 October  1999 ko Pakistan  Army k Jarnal Pervez musharraf na hukomt ko khtam kr dya or khud sadr bn gy.(April 2002 main ek rafrandm howa or pervez musharraf  sadr bn gy .)
Sadr pakistan na mulk main nay elation krway  or 10 October 2002 main  Mir zafarullah jamali  mulk k prime minster bany.mir sab na June 2004 main astifa dya or august 2004 ko  Shaukat aziz Pakistan k wazeer azam bany.
15 November 2007 ko  Pakistan main phalli bar kasi hokumat na apna 5 sala  dor pora kia .
Or  R. jarnal na civilian ke hasiat sa sadar ka half utaya.
18 February 2008 main ppp or musalim leeg (N) na nomaya kamyabi  hasil ke or Syed yousf raza gilani  pakistan k  wazeer  azam  munthakib hoy
18 august 2008 ko sadar Pakistan  pervez musharraf    na astifa dy dia .
Or  September  2008 ko janab  Asif Ali Zardari pakistan k sadr bn gy .
(jo abi tk  qaim hai )


pakistan main  politics ke halat

Pakistan main politics  k halat shuro sa he bohat kharab han  .or jasy jasy waqt guzr ta gya  wasy wasy  halat or kharab hoty gy .or aj kl k halat to bohat he kharab han.  ku?
Is ke sb sa bari waja ya hai k humary  hukmaran  na ahal or hukmarani k qabil nahi hai .
Lakin  humy ya baat yad rakhni chay  k tamam k tamam barabr nahi hoty koi koi achy b hoty han  jo apni suchai  ka sabot daty hai lakin hum log un ko b us he qesm ka samj laty han . lakin  koi baat nahi  humari qom bohat he honsly wali hai us k upper jitney marzi zulam  kro  wo kasi sa naraz nahi hoti .bl kha us main b khushi sa rhati hai or enjoy krti hai .
Lakin ay mery qom k logo aj main nay is ly ya topic chose kia hai .k hum youth pakistan  k ly kuch kr saky ya nahi k jis k matric main achy marks  ay wo  engineer ya doctor  bn jay or jis k us sa km marks  ay to wo  banking main chala jata hai or us main sa sirf 2% log hoty han jo politics main jaty han .main apni qom sa sawal krta ho k kya kasi mulk k 2% log us mulk  ko sambhal sakty han kya?
Nahi bilkul nahi asa kabi nahi ho sakta  k kasi b mulk k sirf 2 % log mulk ko sambhal saky .is k ly humy sab sa phaly apni filde pachanni ho ge or phr hum ko us main kam krna chay or asi thra he mulk  tariqi ke  rha main gamzn ho sakta hai  .or phr apni filde main qabliat rakhny waly ko us fild k mutabik  wazarat sa nawaza jay. Asa krny sa na sirf Pakistan tariqi kry ga bal k dunya main ek asi qom bn kr abhory ga k tamam dunya ko pata chal jay ga k Pakistan ka kya mukam hai or wo kya kr sakta hai .
Humary  politics k  ya  halat han k agr koi  beta  apny bap sa khata hai k papa main na politics main jana hai  to bap khata hai k pagl ho gy ho kya  asy kam main jao jis main koi azet hai humy badnam krna hai kya….
Ay mery Pakistan k logo main kuch  LEADERS k bary main batany jar ha ho  jo real  main janty thy ya hai k pakistan ka asl muqam kya hona chay or usy wha pr kasy ponchaya jay.
Sb sa phaly” Quaid _e_azam Muhammad  ali jinha ,Fatima jinha, Liaquat Ali khan, Zulfiqar Ali Bhutto, Benazir bhutto” (ya wo tamam hai jo apny khaliq_E_haqiqi sa ja mily han.)
“Imran Khan,Shahbaz shreef” they people  know k Pakistan ka mukam kya hai or Pakistan ko kha hona chay. Pakistan k youth main ap say a khana chata ho k ab humara time hai k change lay or ya hum he kr sakty han lakin .agr  aj  na kia to kabi na kia .pakistan ke salamti  humary he hat main han or hum he Pakistan ko us k asl mukam tk poncho sakty han .


PAKISTAN  MAIN POLITICS  EK GALI


Pakistan main politics ek gali hai ku??????
Asa ku hai?


Asa is lay hai k hum logo na is ke terf koi dehan nahi dya. Or  is waja sa  Pakistan  k AWAN main  har daka  LOTY he muntakib hoty han .Or  awam apni usi he halat main rahti han .
“Koi qom jab tak apni halat badlna  nahi chati tab tk us ke halat nahi badlti ja sakti” ya baat main nahi kha rha ya baat Quran main hai  .

Main aj ya baat khana chata ho k ay meri  qom  “KESI INSAN KO KESI B PAKISTANI KO KOI HAQ NAHI K WO POLITICS KO GALI DY”

Akhir main main ya khana chata ho k agr koi bacha bemar ho jay to maa or bap usy chore nahi daty balkha us ka allaj krwaty han or usy theek krty han .humy b apni politics k sath ya he krna hai   .
Chalti hoi  cheez ko challana koi bhari baat nahi lakin beykar cheez ko challana bohat bari baat hai…… 

always be happy